Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shivpriya Jan 2024
O Ghamgusaar!
He.. O...Mere. O.. Yaara..
Iss Dosti ke naseeb
ko bachcale!

Tumne is bejaan ruh ko
khwaish ban ke kya dawa pilai.
ki.
Aaj hawa apna rut mod chali,
aur hume rulake chali gayi!

Khuda fakir banke na aaya!
Aur hum betaab reha gaye,
Is Sehar mein din ke ujaale tak!

Lekin.
O Ghamgusaar!
Aaj ye aankhon ke ansu
kehena hai, chahate tumse
ki in dhadkano ne seekha hai jeena tumse!

Isliye.
He..O...Mere. O.. Dil-Yaara!
Iss Dosti ke naseeb ko bachcale!
©shivpoetesspriya
I've added a new poem to my Hindi album "Geeton ki titaliyaan". The poem is titled "Chahane walon ka manzar".
Veena Iyer Aug 2020
Zindagi bas yuhi chalti jaarahi
Jaise ** kisi shaayar ka tassavur
Jo kabhi rokey na rukey ,
Jiske anjaam se wo ** bekhabar
Jo Zara si hawa se behek jaaye
Jismein chehre lage kuch jaane se
Magar jinke iraade ** anjaaney

Jahaan har koi hai apne hi dhun mein diwaana
Koi Kare  kisi aur ka parwaa na
Bade bade ** imaaratein jahaan
Par jinke dil ** bas itna hi wahaan

Jahaan hoti hai itni aawaaz
Ki kisi ko na ** dhadkano ka aaghaas
Har koi Uss makaam ko pohachna chaahe
Jo aasmano tak ko bhi paar kar jaaye

Yeh dil bechaara Kare bhi to kya
Kisi ke armaan adhurey rehgaye bhi tho kya
Dil ki aawaaz koi na sune bhi tho kya
Koi hame wahin chod jaaye bhi tho kya

— The End —