Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Nikle to hum bhi the ghar se yahi soch kar ki shayad is bar manzil tak pahuch jayenge,
kyunki daudna to unhone hume bachpan mein hi sikha diya tha yeh kehkar,
ki agar nahin bhagoge to woh tumhe peeche chod jayenge.

Daudne ki kuch aisi adat se ** gayi hai ki pair ab rukne ka nam hi nahin lete,
lekin hume kya pata tha ki itna age nikal ane se, apne hi paraye,
aur woh sabhi raste anjane se ** jayenge.

Sabse door rehte hue bhi, in anjanon ki bheed mein woh ek chehra apna sa lagta tha,
lekin woh bhi hamesha kisi aur chehre ki talash mein rehta tha.

Sahi raste ko dhoondhne nikle to the, magar yeh nahin pata tha ki itni jaldi thak jayenge.
Kabhi kabhi to lagta hai ki ab ruk jana chahiye, thoda aram kar lena chahiye,
lekin woh bhi namumkin lagta hai kyunki, ab to sapne bhi ajeeb se ate hain.

Chalte chalte, wade to kafi kiye the is safar mein, kuch unse, kuch apne ap se,
lekin yeh andaza bhi nahin tha ki un sabhi umeedon par pani ferte hue chale jayenge.

Yeh mehsoos bhi nahin hua ki apne hi apnon ke pankh kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki jo is ladkhadate hue ko sahara de sake.

Fir bhi, dheere dheere is katon ki chadar par age badna hai, dil yahi kehta rehta hai,
kyunki jhoothi hansi ki kuch aisi adat si ** gayi hai, ki ab chahte hue bhi dard ka ehsas nahin hota hai.
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai

— The End —