Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ye sab sach hai, geet nahi hai

Tadpan, peer, udaasi, aansoo,
baichaini, upwaas, amawas,
ajab preet ka mausam man mein patjhar hai,
nayano mein pawas,
is almast jugalbandi se bahar,
kuch bhi preet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai….



Log mile kitne angaaye,
kitne ulajh ulajh suljhaaye,
kitni bar darane pahunche,
aankhon tak kuch kaale saaye,
jo in ka yugbodh na samjhe,
sathi hoga meet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai…..

Apmaano ki saras kahani,
jag bhar ko hai yaad jubaani,
aur vijay ke udghoshon par ,
duniya ki yun aanakaani,
khud se alag lade yuddhon mein jeet mili,
par jeet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai….
Khubsurti se darr lagne laga
Dil se phoolon ko chaha...
Par dil toh dil tha...
Toot sa gaya...
Aur ye tara
Gehre samundar me doob gaya...
Najaane kitne bar...
Oski khubsurti ...
Aur mujhe darane lagi
Maan me jaise ki aag
Sulagti hai...
Doobne ki chahat bard si gayi...
Kyuki khubsurti  ne ne tanhai me sulaya...ab..
Mat socho kaisa hu mein...
Bolunga mast bindass zabardast hu mein..
Par kya wakai me khush hu mein?
Bhag raha tha bahut tez k Zindagi ki dhod me peeche na choot jaoo..
Ruk k pairo ko sahlane ki fursat si mil gayi hai

Dar gaya tha is zindagi / duniya se bahut..
Un ehsaso ko darane ki fursat si mil gayi hai

Maa meri murjha rahi hai din pe din..
Unhe pyaar krne ki fursat si mil gayi hai


Yaadein jo mere jahan me bhikhar si gayi thi..
Unhe sanjone ki fursat si mil gayi hai

Pyaar karta tha..hoon jinhe main bahut..
Ruk k jatane ki fursat si mil gayi hai

Khane ka bahut shauk hai mujhe..
Lazeez pakwano ko sarahne ki fursat si mil gayi hai

Meri need pe bin sir pair ki fikaro k taale pade huae the..
Befikra ** k sone ki fursat si mil gayi hai😊

— The End —