Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Pooja srivastava Jun 2021
Aaj sar par humare kam hai baal,
Par janab aisa hai haal,
Subah subah ki adrak waali chai,
Ek duje ko dekh hum muskai...

Thodi gaadi hai dheeme chalti,
Chaalis mein nahi woh furti,
Khaana ** na ** garam,
Par bhagwaan biwi rahein naram...

Na koi demand, na koi expectation,
Na koi command, na koi explanation,
Na koi ek dusre ke liye expression,
Aur life mein no irritation...
hum din shaanti se gujaare,
Bas yahin hai celebration...

Woh tumhara mere gussa hone par chuppi rakhna,
Woh na chahate hue bhi haath dho lena,
Woh tumhare liye aaloo ka parathe banana,
Aur raat mein jamkar taane dena..

Aur janab inn taano mein aisi kick hai,
Bina peg lagaye besud ** jayein,
Yeh pyaar ka naya silsilla hai,
Aur isimein dil rama hai...
Happy Anniversary to all of you who crossed 14 years of vanwaas....
Shivpriya Jan 2024
O Ghamgusaar!
He.. O...Mere. O.. Yaara..
Iss Dosti ke naseeb
ko bachcale!

Tumne is bejaan ruh ko
khwaish ban ke kya dawa pilai.
ki.
Aaj hawa apna rut mod chali,
aur hume rulake chali gayi!

Khuda fakir banke na aaya!
Aur hum betaab reha gaye,
Is Sehar mein din ke ujaale tak!

Lekin.
O Ghamgusaar!
Aaj ye aankhon ke ansu
kehena hai, chahate tumse
ki in dhadkano ne seekha hai jeena tumse!

Isliye.
He..O...Mere. O.. Dil-Yaara!
Iss Dosti ke naseeb ko bachcale!
©shivpoetesspriya
I've added a new poem to my Hindi album "Geeton ki titaliyaan". The poem is titled "Chahane walon ka manzar".

— The End —