Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
MdAsadullah Dec 2014
Magrib mein hai
ilm o daulat ka fauwara
Ummat hai rakh mein
dhoondoo'n koi angara

Dastarkhwan pe saja hai
dushman ka niwala
Bojh hai maazi, jaise
andhera uthaye hai ujala

Iblees khada hai lekar
teri barbaadi ka samaan
Barso'n se pada hai
thaakh per Quran

AADI Dec 2019
ek dil hi toh smbhaalne ko diyatha tumhe... humne kaunsi jannat maangli ...
voh dil jb todh kar fenk dia tumne toh humne bhi tumhari barbaadi ki mannat maangli
-aadi
Taa'miil-e-bandagi ke hinaii-kaagaz par
Ta-umr kaaliik pothti hain maine
Na theek se kufr kar saka hoon
Na theek se ibaadat hui hain

Mashq-e-tasawwur me baa'is-e-hasraton ka
Ta-umr qatl-e-aam kiya hain maine
Na theek se aabaad ** saka hoon
Na theek se barbaadi hui hain

Rishton ke bosiida sahn-e-gulzaar se
Ta umr bas kaante hi jode hain maine
Na theek se dosti kar saka hu
Na theek se dushmanii hui hain

Tark-e-ta'alluqaat ke shatranj-baazii mein
Ta-umr faqat maat khaayi hain maine
Na theek se dhoke khaa saka hu
Na theek se dhokebaazi hui hain

Mere gunaaho ki salaabat ke khayaalon mein
Ta-umr 'aalam-e-barzakh me guzaari hain maine
Na Khuuda se ruu-ba-ruu ** saka hu
Na Ibliis se mulaqaat hui hai

— The End —