Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Milyan McKissack
I write poetry, not bios.
30/F/Aylesbury    Recent Creative writing and Journalism graduate. Love to read. Seen alot, but not enough.

Poems

Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala
mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v
usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala !

akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu
jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu
khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya
mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu !

tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du
jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du
mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala
chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du !

jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi
bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai
mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le
naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
JISKI DHUN PAR DUNIA NAACHE ,DIL AISA EK TARA HAI
JO HUMKO BHI PYARA HAI AYR JO TUMKO BHI PYARA HAI
JHUM RAHI HAI SAARI DUNIA JABKI HUMARO GEETO PAR
TAB KAHTI ** PYAR HUA HAI  KYA EHSHAN TUMHARA HAI

JO  DHARTI SE MABAR JODE USKA NAAM MUHABBAT HAI
JO SEESHE SE PATTHAR TODE USKA NAAM MUHABBAT HAI
KTARA*2 SAGAR TAK ** JATI HAI HAR UMR MAGAR
BAHATA DARAIA WAPAS MODE USKA NAAM MUHABBAT HAI

PANAHO ME JO AAYA ** TO USPE WAR KYA KARNA ?
JO DIL HARA HUA ** USPE FIR ADHIKAR KYA KARNA ?
MUHABBAT KA MAZA TO DUBANE  KI KASHMKASH ME HAI
JAB ** MALUM GAHRAI TO DARIA PAAR KYA KARNA

BASTI BASTI GHOR UDASI  PARVAT PARVAT KHALIPAN
MAN HIRA BEMOL BIK GAYA GHIS GHIS REETA TAN CHANDAN
IS DHARTI SE US AMBAR TAK DO HI CHEEJ GAJAB KI HAI
EK TO TERA BHOLAPAN HAI EK MERA DEEWANAPAN

TUMHARE PAAS HU LEKIN JO DURI HAI SAMAJHTA HU
TUMHARE BIN MERI HASTI ADHURI MAI  SAMAJHTA HU
BAHUT BIKHARA BAHUT TUTA THAPEDE SAH NAHI PAYA
HAWAO KE ISHARO PAR MAGAR MAI BAH NAHI PAYA
ADHURA ANSUNA HI RAH GAYA YU PYAR KA KISSA
KABHITUM SUN NAHI PAYI KABHI MAI KAH NAHI PAYA...

WRITTEN BY  : SHASHANK KUMAR DWIVEDI
                                          1993shashank@gmail.com (FACEBOOK)
Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai,
Yaha fariyaad ke aage sada koi bahana hai…!
Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai,
Tumhare aur mere ***** me phir se jamana hai…!!
Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama,
Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama,
Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par,
Main hansta hoon to hangama, main rota hoon to hangama.
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro