usne pucha tha meri udasi ka sabab, mene kaha wo aaine me tasvir ubharti he fir fanna kyu ** jati he, usne pucha tasvir kiski dikhai deti he tumhe, mene kaha na uska naam he na pata fir bhi apna sa lagta he, usne kaha kuch guftagu bhi kar ti he tasvir aapse, mene kaha ha magar alfaz nahi hote uske ankho se baat karti he. usne kaha kya kehti he uski ankhe mujhe bhi to kaho mene kaha uski ankho me mujhe pyar nazar ata he unkahi baato ka izhaar nazar ata he. usne pucha kya ikrar kiya he tum ne usse mene kaha me to karta hu koshish-e-ikarar karne ki magar inkar hi ajata he usne kaha bade hi wo ** tum ikraar se darte ** mene kaha ikrar se bhala kon darta he me to bas pyar se darta hu me to bas pyar se darta hu nk