Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mar 2014
Main Aur mere roommates
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar saaf hota to kaisa hota
Main kitchen saaf karta, tum bathrooom dhote
main hall saaf karta, tum balcony dekhte
Log is baat pe hairaan hote
aur us baat pe haste….

Main aur mere roommates,
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh hara bhara sink hai
ya bartanon ki jang chidi hui hai
Yeh colour full kitchen hai
ya masalon se holi kheli hai
Hai farsh ki nayi design
ya doodh, beer se dhuli hui hain

Yeh cellphone hai ya dhakkan,
sleeping bag ya kisika aanchal,
ye airfreshner ka naya flavour hai,
ya trash bag se ati badboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut
ke heater phirse kharab hua hai
Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum -
Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai
Ke machar nahi hai, kaheen nahi hai
magar uska dil hai ke kah raha hai
machar yaheen hai, yaheen kaheen hai !

Toand ( pet ) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi,
dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi
Karne ko bohot kuch hai magar kab kare hum
Kab tak yoon hi is tarah rahe hum
Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de
ye Carpet jo jine ko zoonz raha hai, fikwa de
Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain,
Haan hum roommates hai – roommates hai – roommates hai

Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi..

Sab ko bata dain..
Syed S M Tabish
Written by
Syed S M Tabish  New Delhi
(New Delhi)   
11.8k
   Àŧùl and Aarushi Vijay
Please log in to view and add comments on poems