Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jun 2021
Chal paddi thi gaadi taka tak
Hawa shayad thoda zaada hi bhar diya
Befikri ka safar, aa pohoncha uss keel par
Tamasha, shayad thoda zaada hi bhar diya
Ab pahiya toh tha rubber ka hi
Humara kya isne kadar kiya
Gir pade hum, lag gayi chot    
Fir humare dard ne bhi asar kiya
Ab iss keel ko bhi hum kya koosein
Kambakht hai toh yeh lohe ka diya
Sadak se dosti ki aas hum hi laga baithe
Bhool gaye ki yeh toh hai bas ek zariya
Humne kaha kuch pal yahin bita lein
Puncture banane ka kaam fir shuru kiya
Pahiya toh fir bhi chal jayega janaab
Yeh reh jayega banke chhed,
Humne na kissi se kabhi zikr kiya
Siddharth Ray
Written by
Siddharth Ray  Hyd, IND.
(Hyd, IND.)   
232
 
Please log in to view and add comments on poems