Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mar 2021
Language : Hindi (India)

Aadha hi jiyaa maine baaki maazi me kaat diya !!
Jispr sawan beete thhe wo darkhat hi maine kaat diya !!
Mai hi usse mnaata hu jab bhi koi jghdaa hota hai !!
Abke nahi mnaaya or kudrat ka likha kaat diya !!

Jiske liye uthaata thaa ussi pr uth gye haath mere !!
Zehen me jaise aaya ye us haath ki nabz ko kaat diya !!

Suna hai tumne khat ko mere sirf jlaana hota hai !!
So abke maine khat bheja or likhkr sbkuch kaat diya !!

Wo ro ro kar mnaa rahi thi Anaam wapas aane ko !!
Mai be-bas hota iss se pehle phone hi maine kaat diya !!
Maazi- Past
Haath Uthaana - Dua Maangna & Maarna
Angad Anaam
Written by
Angad Anaam  22/M/New Delhi
(22/M/New Delhi)   
429
 
Please log in to view and add comments on poems