Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2020
Tum so rahe ** jaan....

Par is dil e bechain ka kya karun jo betaabi aur behaali ki zanjeeron mein jakda hua tadap raha hai. ....

Tum so rahe ** jaan....

Par is dil e nadaan ka kya karun Jo nahi jaanta.... nahin samajhta....nahin maanta... bas machal Raha hai .....

Tum so rahe ** jaan.....

Par is dil e ghafil ka kya karun jo bhool Jata hai raat aur din ke adaab....us ke tareeqe...us ke harkaat...sukunaat.....bas khud hi khud woh to intezaar mein khoya rehta hai....

Tum so rahe ** jaan.....

Par is dil e jahil ka kya karun jo faslon ke hudood se na waqif hai. ...is se naap tol aur hisaab nahi hota bas ghadi ke kaanton pe tak take lagaye sochta rehta hai ke is waqt ke zalim kaanton ki ghulami use kyun karni pad rahi hai . ...

Tum so rahe ** jaan. ...

Par is dil e Masoom ko kaise kahun ke use dharakte rehna hoga. ....Saanson ki maala ko simar te rehna hoga. .....jitna bhi mushkil ** use jeete rehna hoga. .....ke wohi tareeqa hai wohi raasta hai. ....usi tapish se guzarke use rahat e raabta e dildaar hasil hoga. ......

Khair tumhe kya pata. .....

Tum to so rahe ** na jaan.......
Ain
Written by
Ain  40/F/UAE
(40/F/UAE)   
790
   Aslam M
Please log in to view and add comments on poems