Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....
Ain
Written by
Ain  40/F/UAE
(40/F/UAE)   
Please log in to view and add comments on poems