Angaray, Shamma-n kay aagay Yun dikhtay hain, Jaisay shola bujh sa jayy kissi udaas shaam main Aur kuch nahin Yay ehsaas ki maut hai Jiss Kay Kafan main paiwasta chaid Najanay kuen sakoot orhay baithay hain.....
Insaan ka wajood itna aarzi kuen hai Kay jab roay tou bulbulay ki manind phatt jay Aur jab ** saakan, tou kainaat naan chalay..... Kia karna aisay but-t ka Jo khud ko jaga naan sakay Har simt hai bass hoo Haq hoo Ya hoo ka alam Har lafz main bass hoo....
Anbaar hai kay uthaya nahin jata Har baar sulaya nahin jata Bass chain aur roh ki ikk jang hai Aur uss jung ka haara ikk thakka insaan......
Its in Urdu language. I am hating this forum for not expressing urdu in its form but in roman english