Muhabbat chaiay, lazim hai kay Saans aay aur jay Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind Kay buhat tapash hai Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai Aur nazar kaheen poshida hai Dil aur bahar Har taraf Ikk hi hawa hai Loo ki manind Larazti, sansanati *** Jaisay haddion ko murjha day Aur thara day saans ki simt ko!!
Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn Jahan jaon, jahan tharon Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn. Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!
Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam Meray dil kay darwazon pay Khafeef ahat say bhe Maut paida karta hai Aur iska paida hona Meray wajood main Ikk Ah ban kar raqs karta hai. Kuch hai Kuch tou hai Iss shaam main , aaj kal!
Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai Aur idhar mera wajood Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...