Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
bewafa agar wo hote to unse shikayat mai kar leta,
pyar to aaj bhi unse hi karta hu,
tab shayad shikwa bhi kar leta,
na wo bewafa hai na mai shikayat kar sakta hu,
vo to bas door hai mujhse,
tab shayad khud ko unse door kar leta,
bewafa agar vo hote to unse shikayat mai kar leta....
yun to kai baar vo muhse rooth jaya karte hai,
tab shayad mai khud hi unse rooth jata,
ab vo yaad bahut aate hai,
tab shayad unhe bhool jane ki koshish mai kar leta,
yaad me unki ab bhi aansoo bahata hu mai,
tab shayad unhe yad na aane k gam me ro leta,
bewafa agar vo hote to unse shikayat mai kar leta....
baarish jab hoti aur vo sath nahi hote,
to akela hi us barish me bheeg leta,
tanha hu mai aaj bhi unk bina,
tab shayad unhe kareeb lane ki koshish na kar pata,
ab to bas jindagi beet rahi hai  unk aane ki ummeed k sahare,
shayad tab khud ko mita diya hota,
bewafa agar vo hote to unse shikayat mai kar leta.
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
2.1k
 
Please log in to view and add comments on poems