Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
hai ab to bas  intjaar us pal ka,
kab fir se chahakna unka sun paunga,
meri choti choti baton par,
kab unka khilkhilana sun paunga,
kyun meri shikayat hai lagti buri,
k fir shikayat karne ka mauka hi cheen liya......
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
yun tanha chod k mujhko gaya,
kyun hak mujhpe jatana chod diya,
ab kaise karu mai unko khabar,
k unk bina na ji paunga,
agar aaye na vo vapas jaldi,
mai duniya chod chala jaunga,
hai ab bhi waqt vaapas aa jao,
kahin khabar na mile kisi aur se,
k  yaaad me unki maine saanse bharna chod diya....
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
teri khushboo me jo madhoshi hai,
kyun mujhko juda hai usse kiya,
bas aur nahi takat mujhme,
maine khud ko samajhna chod diya,
na jaao mujhe yun ghayal kark,
aankhen bhi sath nahi deti,
aa jao mere pas sanam,
aab ashkon ne b bahna chod diya,
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya.......
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
2.2k
 
Please log in to view and add comments on poems