Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
K tere aagosh me aakar maine jindagani naam tere kar di,
Dil ki wafa aur apni khudayi tere naam kar di,
Na pata tha massom is dil ko mere k door chala jayega,
Mai karta rahunga untjaar tu kisi aur ka ** jayega,
Mai rounga aansoo bahaunga ,
Par chah kar bhi tera kabhi na ** paunga,
Ab kya kru ?
Ab bas yahi takdeer hai,
K aaj fir se khud ko bhoolkar apni kahani tere naam kar di....
bhool jao koi kahta hai jab mujhko apna samajhkar,
dil aur tej dhadakta hai,
ehsaas hota hai k ab to saanson ki raftaar bhi naam tere kar di,
yaad aati hai to dil kah uthta hai,
hak nahi tumhe khud par,
ab to yaad bhi unki hi hai,
yaadon ki rawani tere naam kar di..
K tere aagosh me aakar jindgani naam tere kar di.....
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
466
 
Please log in to view and add comments on poems