Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
apno se jada gairon ki yaad aati hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai,
dil ka haal samajhne vala koi nahi hota,
aur jindagi hai k bas ek chidiya ki tarah ud jati hai,
dll me yaad basi rah jaati hai,
mashaal jalti hui achanak bujh jati hai,
aankhon k saamne base andhera hi andhera dikhta hai,
har roshni bhi feeki pad jati hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai....
wajah bewajah hi dard uthta rhta hai,
aankhon ka mom har waqt pighalta rahta hai,
aansoo b rasta aona badal lete hai,
dil me tadap k shiva aur kuj nahi bachta hai,
har khwahish dafan ** jati hai,
chahat bas khud ko khatam karne ki rah jati hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai.....
shahar logon se bhara hokar bhi veeran lagta hai,
din nikalte hi dhalne lag jata hai,
bewajah koi insaan shaitan lagne lagta hai,
khud ki ek saan bhi bejaan lagne lagti hai,
bejaan aawaj,
rookhe shabd,
pathrayi aankhen,
aur aansuon ki sookhi dhara shrajal ** uthti hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai.....
yun to har waqt khyal dil me rhta hai k vo mera hai,
tabhi koi khta hai k vo nahi bas bhram tera hai,
aur kitna pyar me barbaad ** jaun,
khatam ** jaun ya tujhme hi mar jaun,
aasan nahi koi jirah rah jati hai,
har gali kooche se bas unk nikalne ki aas rahti hai,
vo mere nahi har taraf bas ek hi aawaj goonjti hai,
din khatam raat shuru,
roshni gayi andhera shuru,
sath khatam tanhayi shuru,
bas yahi tadpan har ghadi rah jati hai,
vo meri nahi kisi aur ki ** jati hai,
jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai....
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
6.3k
 
Please log in to view and add comments on poems