Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
Tera aks hi kuj is kadar samaya hai meri ankhon me,
K ajnabi bhi milkar tera naam bata dete hai,
Koi kahta hai k ashik hai ye shakhs kisi ka,
Koi kah deta hai k toota hai dil iska,
Shayad nahi janta hai koi,
K ashik to hu mai apni jindagi ka,
par dil abhi tak meri jindagi ne toda nahi hai,
Gam to hai mujhko mohabbat me mila,
Par shayad isliye k mera mahboob abhi tak mere aagosh me har pal k liye aaya nahi hai,
Haan ashik to hu mai uska par usne dil mera abhi tak toda nahi hai,
Vo door bahut hai mujhse,
Par khata uski nahi hai,
Vo bhi utna hi bechain hai mere liye,
Utni hi tadap hai usme bhi mere kareeb aane ki,
Par shayad jindagi dene vale ki jimmedariuon se aabhi vo farig hua nahi hai,
Haan ashik to hu mai us har saans me mujhko yaad karne vale,
Par dil abhi mohabbat me toota nahi hai,
Intjaar karta to bahut hu uska,
Par intjaar abhi poora hua nahi hai,
Kuj der abhi aur baki hai,
Thode se aansoo abhi bahne aur baki hai,
Dil me thodi c chubhan baki hai ,
Baki hai abhi use apna banan,
Aur thoda sa pyar karna aur baki hai,
Haan ashik to jaroor hu mai us mohabbat me tadpane vale ka,
Par sach to ye b hai k mohabbat me dil abhi toota nahi hai.....
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
1.1k
 
Please log in to view and add comments on poems