Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
Door kahin hokar khada jab dekhta huu mai duniya ko,
Kabhi khud ko dekhta hu kisi aur me,
To kabhi kisi aur me khud ko bhi dekh leta hu,
Kai rote hue chehre dikhte hai,
To kai tadapte hue dil bhi dekh leta hu,
Koi dikhta hai talabgaar khushiyon ka,
To kai baaar koi khushnuma manjar bhi dekh leta hu....
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Koi mehnat k baajar me pani pani hote dikhta hai,
To koi makhmali bistar pe aaram talab jindagi jeeta hai,
Koi chor hai makkar hai to koi in sabka gunah gaar hai,
To kai baar jindagi me imaandaar se bhi milta hu......
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Ghumte ghumte kai bar jab koi ghar dekh leta hu,
Chor bankar kabhi jab ghar k andar jhank leta hu,
Koi deewar tooti hui dikhti hai ,
To koi aalishan mahal bhi dekh leta hu,
Koi ghar hota hai jisme dikhte hai bhookhe nange,
To ghar kabhi har sukh suvidha ka praman bankar dekhta hu........
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Kai baar koi maan bache ko pyar karte dikhti hai,
To kabhi pet bharne k liye khud ko bhookha rakhne vali bhi dekh leta hu,
Koi mahal mai dekhta hu sone se madha,
To kai baar kisi ghar k bachon ko bhookh se bilakhta hua bhi dekh leta hu,
Dekhkar ye bahurang duniya k mai khud ko aur majboot bana leta hu,
Na gareeb khud ko aur na kabhi ameer bata pata hu,
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko..
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
2.9k
 
Please log in to view and add comments on poems