Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Aansuon sey dil k koney nam naheen hote Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee Band kamron men koyee mausam naheen hote Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
270
 
Please log in to view and add comments on poems