Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nov 2018
Main jiss shahar ka aadi hon
Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay
In chahron pay charhay rung
Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain
Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana
Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain!

Maij jiss shahar ka aadi hon,
Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain
Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon.
Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain,
Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay!

Main phir bhe iss shahar ka aadi hon
Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
Hira malik
Written by
Hira malik  31/F/Pakistan
(31/F/Pakistan)   
407
 
Please log in to view and add comments on poems