Beti puchhe babulse , " mei kyu parayi?" Uski ye haalat dekh ke kayanath bhi sharmayi. Na mei pihar ki, na sasural ki. Babul bata mohe, mei aakhir kahaki?
Vidai ke waqt; tune kar di mohe parayi; Kisine ne jaani mere dukh ki gehrayi. Aaj tere jaane ke baad to, ne ghar ki , ne ghat ki. Bas khed hei mujhe is baat ki .
Sasuralwale kahe," tera pihar;" Yeh soonte hi jau mei sihar. Sochu manhi man mei; kaunsa pihar ! Jaha aaj apna koi nahi hei; woh pihar !
Niyati ka khel hei yah kaisa? Pihar **, ya sasural; dekhe harkoi paisa.
Kis se kahu mei dil ki peed ? Akeli hu; bhale ** chahu aur bheed. Paav mere tune baandh di janjeer. Aakhir kyu, aisi meri taqdeer ?