Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Apr 2018
Chamakte -damkate chehro main bhi
Uski thi pahchan mujhe
"Ek sanwali ladki se tha pyar mujhe

Wo pagal thi meri hokar'
Wo roti thi mujhse lad-kar'
Jaan waan toh baate thi""
Wo  kehti thi ( humsath) mujhe '
Ek sanwli ladki se tha pyar mujhe

Wo ladti' kuch kuch kahti thi mujhe
Par aah karu Jo toh samjh leti thi mujhe..
Uske pyar ka ikraar tha mujhe ...
Ek sanwali ladki se tha pyar  mujhe

karu Jo khata toh tok deti thi mujhe
Par jaane se pahle ROK leti thi mujhe ..
Main hasta tha""uske dil main kahi toh basta tha
Ye ahsas tha mujhe ...
Ek sanwali ladki se tha pyar mujhe ...

Par

Kab duri badhi,kab wo badle
Kab hum aade or wo lade
KUCH abhaas nahi mujhe ..

Chalo phir bhi ...

Uske dil pe dastak di
Kae baar minnat ki ke geenti tak na yaad mujhe ...
Ek sanwli ladki se tha pyar mujhe ...

Waqt ne kuch or karwat li
Sari kasme todi ***"
Meri yaado ko bhulaya"
Pyar,waade,wafa ko jalaya"
Uske hatho se mili bas raakh mujhe
Ek sanwali ladki se tha pyar mujhe


U toh uska ab kuch pata nahi ""
Beete kai saal toh rahi na kuch baate yaad mujhe ..
Par
ek dhadkan, ek saans, or uski aakhiri baat hain yaad mujhe ...
Ek sanwali ladki se tha pyar mujhe ..

Naaraj hua Jo ladta khudse ..
Tum kyu ** ab bhi yaad mujhe..
Kyu usse tha or abhi bhi hain ye anchaha sa pyaar mujhe ......
Ek sanwali ladki se (hain) pyar mujhe
ROHIT YADAV
Written by
ROHIT YADAV  23/M/Delhi
(23/M/Delhi)   
4.0k
   Salmabanu Hatim
Please log in to view and add comments on poems