Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mar 2018
Jis phul ne koi galati hi nahi ki, Use kis baat ki saza diya ja rha hai,
Es duniya me aane se pahle hi kyu use maar diya ja rha hai,

Ai Khuda kyu aise janwar ko tune banaya,
Ek chhoti kali ko pet me hi maar khud ko insaan btaya,

Na maaro us phul ko jisme us bhagwan ka hai waas,
Ek din aisa aayega jab ** jayega puri shristi ka naas

Arey nasamjh insaan sirf bete ki hi aas lagaoge,
To phir maa, behan aur dulhan kahan se paoge,

Mata-Pita ki galati ki saza us chhoti kali ko diya jata hai,
Ek chhote se andhere ghar me hi use maar diya jata hai,

Wo kali bhi baar baar unlogo se karti pukar,
Hey Maa-Baba mujhe pet me hi mat maar,

Ye duniya ek baar mujhe bhi dikha de,
Apne amrit ki ek ghunt mujhe bhi pila de,


Nanhi si jaan tou hai bekasoor,
Maar kar hi aakhir kyu milta hai pathar dilon ko suroor,

Wo bhi dekhna chahti hai duniya,
Janam lene se pehle hi Jaan gawani padti hai oo gudiya,

Apne hi hathon ukhed dete hai apne hi aangan ka phool,
Kaisa hai ye bereham logon ka usool,

Kismat wale hote hai wo insaan,
Jinki kokh mein dete hain betiyan bhagwaan,

Beti hai ishwar ka hai en anmol uphaar,
Jeene ka us nanhi jaan ko bhi hai adhikaar,

Sharam aati hai logo ki is ghatiya soch par,
Taras aata hai unpar
Jo apne hi ansh ka dete hain maar
Devi ka karte hain jo tiraskaar,

Banao ek naya usool
Beti ko karo qubool

Jeevan ka hai ye adhaar
Banta hai inhi se sansaar,

Likh us phul ka dard hamari aankhen bhar aai,
Teri banai duniya me O mera khuda ye teri kaisi khudai..
Ye teri kaisi khudai...


Collaboration by Manish Shrivastava and Sonia Paruthi
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
4.1k
   --- and Shrivastva MK
Please log in to view and add comments on poems