Bohat dukh hay ke tumne mujhe chora Bohat dukh hay ke tumne mujhe apna na samjha Bohat ghussa hay ke tumne mujhe chora Bohat ghussa hay ke tumne mujhe apna na samjha Mere Paas to is dukh ko baatne ke liye bhi koi nahi Mere Paas to aisa bhi koi nahi jispe apna ghussa nikalun Ekk tum he to thi Jisse apna har gham baat ta Tha mein Ekk tum he to thi Jisse baat karke Mera ghussa Kam Hota Tha Tumhe to mene wo wo batein bataayn Jo kisi se keh nahi sakta Tumpe to mene itna bharosa Kiya jitna kisi pe Kar nahi sakta Apna saara dukh in alfazon pe nikalta *** mein Andaza lagao Meri bebasi ka Andaza lagao mere akele pan ka Apna ghussa in lafzon ke zariye Kam karta *** ab Aakhir kab tak likhta rahun ga ye sab apne gham aur Apne ghusse ko mitane ke liye Aakhir kab tak Kabhi to mujhe sache Dil se samjha Hota Sirf tumhare liye to jeeraha Tha mein Sirf tumhare liye to ye Dil Tha zinda Sirf tumhare liye to ye saansen chalrahi thein Abto apne apse nafrat hogayi hay Ye zindagi bojh bangayi hay Meri kismat mein Aakhir kyun thi itni bezaari Aakhir kyun Tha mein itna badkismat Aakhir kyun