Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Pumpkin Eater Dec 2017
Haq Meri mohabbat ka Ada kyun nahi karti
Tum dard to deti ** dawa kyun nahi karti
Kyun baithi ** is terha khamosh mere paas akar
Tum mere Marne ki Dua kyun nahi karti
Pholon ki terha **** hay pathar ki terha Dil
Jaane tum mujhse Wafa kyun nahi karti
Aankhon ki adaalat se Bari Kar tou Diya hay
Zulfon se Meri jaan reha kyun nahi karti !??
Pumpkin Eater Dec 2017
Bohat dukh hay ke tumne mujhe chora
Bohat dukh hay ke tumne mujhe apna na samjha
Bohat ghussa hay ke tumne mujhe chora
Bohat ghussa hay ke tumne mujhe apna na samjha
Mere Paas to is dukh ko baatne ke liye bhi koi nahi
Mere Paas to aisa bhi koi nahi jispe apna ghussa nikalun
Ekk tum he to thi Jisse apna har gham baat ta Tha mein
Ekk tum he to thi Jisse baat karke Mera ghussa Kam Hota Tha
Tumhe to mene wo wo batein bataayn Jo kisi se keh nahi sakta
Tumpe to mene itna bharosa Kiya jitna kisi pe Kar nahi sakta
Apna saara dukh in alfazon pe nikalta *** mein
Andaza lagao Meri bebasi ka
Andaza lagao mere akele pan ka
Apna ghussa in lafzon ke zariye Kam karta *** ab
Aakhir kab tak likhta rahun ga ye sab apne gham aur
Apne ghusse ko mitane ke liye
Aakhir kab tak
Kabhi to mujhe sache Dil se samjha Hota
Sirf tumhare liye to jeeraha Tha mein
Sirf tumhare liye to ye Dil Tha zinda
Sirf tumhare liye to ye saansen chalrahi thein
Abto apne apse nafrat hogayi hay
Ye zindagi bojh bangayi hay
Meri kismat mein Aakhir kyun thi itni bezaari
Aakhir kyun Tha mein itna badkismat
Aakhir kyun

— The End —