Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai Har dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai
Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai Nigahain num naa huvi toh gilla rehta he hai Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai. ghum-e-samandar k kinarey pay tanhaa betha hai yeh dil Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh kay Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai