Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
#tanzeelah
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai Har dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai Nigahain num naa huvi toh gilla rehta he hai Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai. ghum-e-samandar k kinarey pay tanhaa betha hai yeh dil Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh kay Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai ...Aabid Rumii Tanzeelah Illahi
0
May 25, 2017
May 25, 2017 at 4:54 AM UTC
Tere Bin
Aabid RUMI and Tanzeelah Illahi                                                 DUET GHAZAL: DIL NAY MAANA Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat         2 Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat Hai nhi yakeen mujko  lakeeroon pay Mainay  toh ,mohobat nigahoon say ki hai Chahai kismat mai jo bhi likha ** Mainay toh mohobat  sirf tumsay ki hai Ab mainay bhi maana, hai ektiyaar  tumpay aay mohobat Jhoota  he sahe  par karle izhaar  tumsay aay mohobat Janay hum kahaan thay ,lo aaj kahaan chal rahai hai Har mode pay naye  humko humraah mil rahai hai Hai nishaan kuch kay ,aur kuch kay he nhi Jaanay yeh  hawaa kis sang guzar rahai hai Mudatoon say jo hai dharr pay aaj deedar ** aay mohobat Dheer say he sahe meray rozay ka ** iftiyaar aay mohobat
0
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:19 AM UTC
Dil NAY MAANA
Koi ghilla na ab aur na koi shikayaat hogee Ab jo mohobat tujsay hoge,wo bakamaal hoge... Dekh liya hai jo  mizaaj hummnay teraa Koi khata na ab aur na koi kammee hogeee Humpay jo karam huva tha,aaj  samj aanay laga Pehle  shayed tanha thay,aaj har taraf shor behnay laga Huvi jo gustakhi ,andher khudkay jank naa sakhay samma unki mohobat ka , Na janay khudpay kabsay chalnay laga.... shambal  raha tha jo dheery dheery,lo aaj bikharnay do zara Kuch apni tasveer mai,rang merey b bharnay do zara Koi inaam ** teray kabil ,rakhdu wo terey kadmou mai Laikin tujsa naa kio aur na  tere jaisi koi hogee.... Ab jo Inayat tujpay hoge,wo lazawaal hogee.. khaaboon mai kho kr hum haqeeqat ko jaan naa sakhay Sab tha pani he pani par hum kuch pebchaan naa sakhay Zindagi ki mojoo pay sawaar hum bataktey rehai veeran-e-samandar mai Muntazir mai sahil unka tha ,par hum kuch dekh naa sakhay.. Ilteja jo kabhi kee hee nhi,aaj jee bhar k faryaad karnay do zara Dabay zakhmu ko andher he andher aaj samandar karnay do zara Hai qabool ab sab tera,zindagi mai bas shamil hoga   Rahai naa sansay mujmai sahee,Laikin  judaa naa Rumi say tu hogee Ab jo ebadaat tujpay hogee,wo bemisaal hogee.. ########penned by Aabid Rumi
0
Feb 23, 2017
Feb 23, 2017 at 3:29 PM UTC
Khataye mohobat