Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2016
Na dhan k e daas hote hai ,naa mann ke daas hote hai
Nirasha me v aasha ka, saghan vishwas hote hai
Nazar se dur hokar v, jigar ke paas hote hai
Mohabbat karne wale dil, bahot hi khas hote hai

Ibbadat kaun karta hai,Innayat kaun karta hai
Sabhi hai lootne wale, mohabbat kaun karta hai
Bharamar ki gungunahat se hi, ab har phool darta hai
Sabhi khilwadd karte hai, mohabbat kaun karta hai

Mohabbat apni har aashiq, pe jaya hum nahi karte
Ki aise har kisi pe dil,  lutaya hum nahi karte
Mai kahti raat rani se, meri awaj ko sunkar
Chale aate hai khud bhawre, bulaya hum nahi karte

Hume apni mohabbat tum, gawara mat samajh lena
Aji ye dil humara hai, tumhara mat samajh lena
Kayamat ki nazar hai, humnazara mat samajh lena
Kinara kar rahe hai hum, Isahara mat samajh lena
CopyrightΒ© Shashank K Dwivedi
Web- www.researchbits.com,skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
14.2k
     Shrivastva MK and Doug Potter
Please log in to view and add comments on poems