Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jan 2015
Nai umangey nai tajgi,
Laker aai subah aaj ki.
Aaj subah kuch hoga khas
Sab ko yeh  hoga ehasah.
Nai subah ki nai bauchhar
Sabko mile khub sara pyar
Yahi hamari dua hai rab se
Sabko khusiaa mile ham sb se.
Aai nai bouchhar,
lekar khub sara pyar.
Nai umange......
Har muskurahat hoti hai kimati
Par log karte eski na ginti.
Har din har roj
Karte ham eski khoj.
Sbki khusiaa rahe salamat,
Ham sb ki yahi hai amanat.
Jb khamosi chaye
To hm sb muskuraye
Ye duniaa ki rit ham sb nibhay,
Agar  chot lagti koi apno ko
Bahot dukh hota mere es dill ko
Magar mai na sochi kv aoro ki
jo phirte hai dharti pe bina apno ke,
Par muskil hai sb ko ye bat batana.
Ye duniaa me apni aawaj uthana
Ye bouchhar aai bahot pyar lai,
Barsat ke sath nai subah aai.
Nai umange nai tazgi,
Lekar Aai subah aaj ki.......!!!!!!

                                         -ROHINI-
-Muhabatey ki lamhe-
Rohini Raj
Written by
Rohini Raj  23/F/Ranchi
(23/F/Ranchi)   
6.8k
   Jeremy Betts
Please log in to view and add comments on poems