Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan  Mar 2011
Udaan
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Tariq Khan  Dec 2012
Pehchan
Tariq Khan Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Shrivastva MK Apr 2018
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan ,
Kamzor nahi padegi hamari udaan .
Chhaon ** ya kadakti dhoop ,
Nikhrega hamara naya roop .

Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum,
Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam,
Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na **,
Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum

Bheedh hamesha us raastey par hai chalti ,
Jahan ** na koi mushkil khadi .
Par humne chuna hai raasta alag ,
Kyunki karna hai humne kuch alag .

Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho,
Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho,
Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega,
Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega,

Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer,
Takleef ke hain hum mahaveer.
Na chahat hai sitaron ki ,
Na tamanna hai nazaron ki.

Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai,
Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai,
whi log asafal rah jate hai,
Jo mushkilo se darr tut jate hai,

Har mushkil ka saamna kar ,
Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par .
Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi ,
Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi .

Hum wo hai jo Kismat par rote nahi
Jo rote hai unke kuchh hote nahi,
Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya,
Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya,

Laakhon kasht aa jaye saamne ,
Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage .
Musibaton se baghna na humne kabhi seekha ,
Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha.

Milkar humne ye thana hai,
Naam nahi hume etihaas banana hai,
Ab kisi bhi mushkil se na darna hai,
Kyuki Hume kuchh alag karna hai,
Kuchh alag karna hai..


Collab Poem by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
Veena Iyer Aug 2020
Choti woh chidiya albeli
Pyaari si aur badi niraali
Nazhukh si pali , kuch dil ki bholi
Uskey par jaise rangoli.

Chote chote they  uskey sapne
Jinhe wo sanwaare aankhon mein apne
Chaahe ki liye pankh bade woh
Bas udjaaye neele Gagan mein

Aakhir mein jab waqt wo aaya
Lekar pankh ko udjaane ka
Aansu lekar baabul se boli
Ye na mujhse  ** paayega

Baabul ne uski narm si aankhe
Dekh ke usko ye poocha sawaal
Beti , tu kyu apne app ko rokey?
Kyu udhney key  nahi khayaal?

Sunkar apni baabul ki boli
Dheere se chidiya ab doli
Tab lagta tha jo ek sapna
Aaj wo ** gaya hai choor.
Kya mere do pankh ye chote
Udh paayenge uthnee door?
Itna bhi mat karna  guroor
Na Karo mere dil ko majboor
Rehne do mujhe tumhare paas
Phir na rakhungi mein koyi bhi aas.

Baabul ne chidiya ko sehlaaya
Usey apne dil se laggaya.
Jo sapno se  tuney man  ko behlaaya
Usko paane ka waqt hai aaya.
Chota mat kabhi kudhko samajhna
Bas yuhi pankh lekar udhjaana.
Udhna hi hai tera naseeb
Rakhna hamesha usey dil ke khareeb .
Aasman dekhe raah tumhara
Likhdo uspar naam tumhara .

Phir Chidiya ne lee aisee udaan
Bharliya aanchal mein aasman ke rang
Baabul ne dee usey bidaayi
Bhar aayi aankhein, raha gaya wo dang.

— The End —