Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
 
6.7k · Feb 2014
Mene suna he ki vo aaj bhi
Yatharth lakhan Feb 2014
Mene suna he ki vo aaj bhi vahi intazar karti he
shayad ab bhi mujse pyar karti he
mene nahi chaha kabhi usase juda hona
par vahi he ke jamane se na jane kyo darti he
ham to yaado ke sahare ji lenge uski
or vo he ke yaado ko dene se darti he
kya hoga gar chal bhi gaya pata jamane ko
fikr mat karo kuch logo ko kisse mil jayenge is jalim duniya ko sunane ko
bare gor se sunegi dasta ye hamari duniya
kabhi na kabhi yad to karegi
is jamane ke dar se bhichade ham divano ko
4.6k · Feb 2014
Kya kisi itna dard mila he
Yatharth lakhan Feb 2014
Kya kisi itna dard mila he
bas ek yahi usase gila he
achche se kat rahi thi jindagi meri
pyar kiya jab se sirf yado ka hi tohafa mila he
kya farak padta he muzko e duniya badnasib to vo he
jise mere alava or koi mila he
kiya tha pyar mene use dilo jan se
meri chahato ka yahi sila muzko mila he
aaj he vo kahi or me tab chal raha hu
jab se usake shahar ka muze pata mila he..
2.9k · Feb 2014
BAHUT HUE MANDIR MASJID
Yatharth lakhan Feb 2014
Bahut hue he mandir masjid ab banana band kardo na odai chadar tumane kisi garib ko to chadare chadana band kardo are vo to basta he har kisi ke dil me ab us khuda ko diwaro ke ***** rakhana band kardo

— The End —