Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Apr 2018
Kuchh Zakhm sine me hi dab jate hai,
Tou kuchh aansuo me bah jate hai,
Ye zakhmon ka Silsila kahan thamta hai,
Kuchh Gairo se mila,Kuchh apne hi de jate hai,

Jis jis pr es dil ne bharosha kiya hai,
Aksar usne hi ese zakhmi kar diya hai,
Jiske liye sazaye the sapne humne,
Sirf unhone hi mujhe Judai ka upahar diya hai,

Kabhi aansuo ke sahare us gum ko bhulate hai,
Tou kabhi muskura kr us dard ko chhupate hai,
Zindagi ke roop rang ko smjhna behad mushqil hai,
Kabhi koi paas aata,tou kabhi bin btaye hi ojhal ** jate hai,

.........
JAMIL HUSSAIN Nov 2016
Dhalegi Raat Aayegi Sahar Aahista Aahista
Piyo Un Ankhdiyon Ke Naam Par Aahista Aahista

Night will end and the morning will arise, slowly, O’ slowly
Sip in the name of her eyes, slowly, O’ slowly

Dikha Dena Usse Zakhm-e-Jigar Aahista Aahista
Samajh Kar Soch Kar Pehchaan Kar Aahista Aahsita

Show her the wounds of your heart but slowly, O’ slowly
With thoughts, understanding and accuracy, slowly, O’ slowly

Abhi Taaron Se Khelo Chandni Se Dil Ko Behlao
Milegi Uske Chehre Ki Sahar Aahista Aahista

Play with the stars and appease yourself with the moons light
You will meet the morning of her face, slowly, O’ slowly

Yakayak Aise Jal Bhujhne Mein Lutf-e-Jaan Kuni Kab Tha
Jale Ik Shamma Par Ham Bhi Magar Aahista Aahista*

What is the pleasure of life in burning so suddenly?
Burnt too I was on a flame but slowly, O’ slowly

— Translated by Jamil Hussain, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Ain Sep 2020
Saraab....

Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi...
Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi...
Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi...
Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi...

Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi....
Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi...
Humare ijz ka un par asar hua hi nahi...
Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi....

Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi...
Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi...
Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi...
Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi...

Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi...
Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi...
Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai...
Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi...

Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi...
Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi...
Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi...
Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi...

Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi...
Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi...
Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe...
Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi...

Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi...
Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi...
Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha...
Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi...

Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena...
Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi...
Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”...
Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....
Ain Sep 2020
Khoobsoorti sadaf ki be misaal hoti hai....
Raaz hai uska jo chipa us mein ek moti hai.....

Sadaf ke do pat gar misaal e miya biwi hain...
Unki shadi ka rishta hi woh chipa moti hai...

Naazuk magar bohot woh baareek taar hota hai. ....
Jo us moti ko bana ke haar apne mein pirota hai...

Lamhe se lamha judta hai to ek zindagi banti hai...
Aur do zindagiyan milti hai to  ek shadi ki ladi banti hai...

Qadam se qadam milane mein khud ki pehchaan bhi khoti hai...
Alag se rang mein rangi phir shaksiyat dono ki nikharti hai....

Azwaji zindagi ke kuch apne masale bhi hote hain...
Kaanton se bhari raahon mein paththar bhi biche hote hain....

Zakhm in rahon par chal kar zaroor hasil hote hain...
Tab woh dono hi to ek duje ka marham hote hain...

17 saalon mein maine to bas itna hi seekha hai....
Hai woh kaamyaab rishta mohabbat se jisko seecha hai...

Sona chandi jis tarah ek aurat ko sajata hai...
Pyar o ehteraam waise hi rishte ko banata hai...

Wafa ka bhi to ek bohot ehm muqaam hota hai...
Qaayam uske dam pe hi to aitmaad hota hai....

Kuch aise hi to daqeeq yeh uroosi rishte hote hain....
Beinteha mohabbat se jinhe in jodon ne seechein hain...

25 o 50 salon ka yeh safar e taweel mubarak **. ..
Aapko yeh khoobsurat qaid e hayaat mubarak **. ..

Dua karti hain "Ain" laa zawal mausam e ulfat **....
Masrur rahe hayaat, har lamha pur rifaqat **...
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka..
Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka

Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat..
Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat

Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar..
K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar

Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi..
Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi

Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me..
Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me..
Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko..
Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh!

Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar..
Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar
Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka..
Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka

Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai..
Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai..
Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar..
Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊
Purva Barva Jun 2020
कुछ ज़ख्मो के निशान इस कदर रह जाते है,
जो ज़िन्दगी भर साथ निभा जाते है,
ये ज़ख्म कुछ ज़िन्दगी से मिले, तो कुछ रिश्तों से,
हम कितने भी आगे बढ़ जाये ज़िन्दगी में,
फिर भी उन ज़ख्मो को भर नही सकते,
वो हमेशा हमें उस वक़्त की याद दिलाते रहते है!
ज़िन्दगी के ज़ख्मो ने सिखाई, इस सफलता की किमत,
और रिश्तों के ज़ख्मो सिखाया अपने और पराय का फर्क!
इसलिये अगर ये ज़ख्म ना भी भर सेक तो कोई अफसोस नही,
मैने सिख लिया है इन ज़ख्मो के साथ ज़िन्दगी जीना,
क्युंकि इन रिश्तों ने भी तो इन ज़ख्मो के बावजूद हर पल है साथ निभाया मेरा!! हर पल है साथ निभाया मेरा!!
Seema Sep 2017
Kitne aur zakhm, dikhao ge mujhe
Gir kar kabhi bhi, na pasakoge mujhe
Teri kismat mei mein nahi, koi aur hai
Tu mera sanam nahi, na jane tu kaun hai
Har waqt aazmate **, apni mohobat mujh par
Lekin raham kar,
Chala ja mujhe meri haal par chor kar...

.........................................................­.........................

How many more scars will you show me
Even if you fall, you will not be able to seek me
I am not your fate, but there's someone who is
You are not my lover, nor do I know you please
Everytime you test your love on me with keen
But have mercy,
Leave me alone in whatever situation I might be in...



©sim
Ain Sep 2020
Ek Ehsas woh bhi hai
Aur ek Ehsas tu bhi hai
Woh todta hi chala ja raha hai
Tu jodta hi chala ja raha hai

(A feeling was that - which was him...
A feeling is that - which is you...
He kept on breaking
You kept on mending)

Woh kal ki meethi khushboo liye
Mere wujood ko tilmila raha hai
Tu aaj ke haseen waade ke saath
Kadam se Kadam badha raha hai

(He was using the fragrance of the sweet past
And making my existence shatter
You are here with me with a promise of today
Moving ahead with me walking hand in hand)


Woh khud parast apni marzi ke
Zakhm dhaaye ja raha hai
Tu hamdili se un zakhmon par
Pyar ka malham laga raha hai

(That self worshipper in his own will
Went on giving me wounds
You have only compassion to give
And are healing my painful wounds with your undying love)

Woh apne lafz zubaan pe meri
Rakh kar chalna chah raha hai
Tu honthon ki chuppi par meri
Man hi man muskaa raha hai

(He placed his words on my tongue
And made me say what he wanted to hear
You are happy with the silent curving of my lips
And your heart is contented with only my happiness)

Woh beete dinon ke safhon ko
Bhooli kitaab se chura raha hai
Tu dil pe gade hue lafzon ko
Rahat e jaam pila raha hai

(I can’t translate this very well...
He was stealing the pages of days gone by
From a book which was long forgotten
{And trying to make an impact by using matters which pained in the past}
You are nurturing the words of my heart
With nourishment of contentment and everlasting happiness)

Woh apne "ain" ke aaine mein
Tasweer purani dikha raha hai
Tu haath mera haathon mein liye
Naye rangon se Saja Raha hai. ..

(He showed in the mirror of his eyes a picture faded and eroded
You are taking my hand in yours and painting a picture full of beautiful pictures of life
{showing me the beautiful side of life})

Ek Ehsas woh bhi hai. ...
Aur Ek Ehsas tu bhi hai. ....

(Afeeling was that - which was him...
A feeling is that - which is you)
Mat rok mujhe
Mein sharabi hu
Mat rok mujhe
Mujhe doobne de

Darta hua sa ghulta waqt
Isharoo isharoo me ghumta
Ghumsum sa zakhm...
Namak sa amber e aashiqui

Mat rok mujhe
Jane de janha koi theekana na **...!!
Survived Dec 2019
Jab mohabbat dil se hui ** na
Toh dil tutne par
Zakhm aur Nafrat bahot gehre hoti hai
Ain Sep 2020
Zakhm tera gul ko Shabnam ki tarah azeez hai lekin.....
Kya karun Shams is Shabnam ko panapne nahi deta. ....
Dard deta to hai yun tujh se bichadne ka khayaal.....
Par khayaal tera mujhe tujh se bichadne nahi deta. .....
Saumya Jan 2020
Kaha se lae hunar unhe
manane ka
Koi jawab nhi hai unke
ruth jane ka
Ki mohabbat ki saza to
hame hi mili thi
Kyuki jurm to hamne kia
tha dil lagane ka
Raato ki neendo ko
udaya tha hamne
Khud jagkar unko sulaya
tha hamne
Par zakhm to akhir hame
hi milna tha ishq krne
ka
Kyuki jurm to hamne kia
tha dil lagane ka
Ain Sep 2020
Tumhare zakhm pe marham ka sila kab maanga
ponche jo aansoo tumhare to sila kab maanga
Humare peeth pe khanjar ka nishaan hai yeh jo
Karam ka itna azeeem hum ne sila kab maanga
Janid Kashmiri Nov 2024
Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye  
Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye  

Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa  
Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye  

Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa  
Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye  

Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka  
Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye  

Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas  
Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye  

Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein  
Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye

— The End —