Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"udd" poems
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar, Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar, Vidai ka hota hai ye kaisi bela, Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela, Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal, Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal, Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue, Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue, Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali, Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali, Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod, Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar, Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya , Aakhir kisne ye  riwaz banaya , Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan , Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan , Waqt ka kaisa hai ye dastoor  Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur , Chali hai aaj papa ki gudiya , Chhodhkar apne aangan ki nindiya,  Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan , Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan, Babul ki laadli kab ** gayi badi, Aayi hai dil ko chhune wali ghadi, Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi, Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi, Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya, Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya, Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar, Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar, Babul ka ghar......... Composed by Sonia Paruthi & Shrivastva MK
0
Mar 22, 2018
Mar 22, 2018 at 2:23 PM UTC
UDD JAYEGI EK DIN CHIRAIYA CHHODKAR BABUL KA GHAR
Oo panchhi le jaa meri chitti us jahan mein, Jaha rakha hai meri maa ko us uparwale ne. Pahuchana mera ye paigaam un dono khuda ko, Ek meri maa jo jaan se pyaari hai mujhko. Aur ek bhagwaan ko jinhone meri jaan apne pass bula li, Meri maa unke pass hain wo bhi ** gye bhagyashaali. Shukriya hai maa aapka jo aapne un ishwar se keh ke, Aapke jaisi parwaah karne wala bhej diya zindagi mein. Humari zindagi mein aake zindagi bn gye hain wo khuda ka farishta, Dil se dil ka rooh se rooh ka hai unse ye khubsurat rishta. Behad khushnaseeb hai aapki beti jo mila aisa jeevan saathi, Wo mile tou in dadhkano ko jeene ki wajah mili. Apni rehmat humesha banaye rehna, Unhe har pal mehfooz rakhna. Unki khushi se barkaraar hai humari khushi, Unka mukhda tou hai misaal saadgi ki. Dil hai unka pavan pavitra jaise ** sacche dil se bhakti, Unke saamne sajda kar lu tou ** jayegi ibadat -e- bandagi. Kayenaat bhi feeki lage unki rooh ki khubsurti ke saamne, Badi hi fursat se tarasha hai unhe us khuda ne. Wo mil gye sab kuch mil gayaab kuch nahi chahiye, Oo panchhi udd ja lai jaa meri ye chitthiye.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:15 AM UTC
khushnaseebi humari jo mile aap
*Ba't 'di pa sabihin Ang hindi mo maamin Ipa-uubaya na lang ba 'to sa hangin?*
0
Apr 19, 2016
Apr 19, 2016 at 4:36 AM UTC
tadhana (UDD)
Anong silbi ng narito 'Di mo na kailangan *What is the sense of me being here, If you don't even need me at all?*
0
May 4, 2016
May 4, 2016 at 12:32 AM UTC
Sana (UDD)
O iindak na lamang sa tibok ng puso mo At aasahan ko na lamang ba na di mo aapakan ang aking mga paa Pipikit na lamang at magsasayaw...
0
Feb 21, 2017
Feb 21, 2017 at 8:41 AM UTC
Indak- UDd
Kal ki hi to baat h Jab mai maa ka hath pakde School ki or jata tha. Ha kal ki hi to baat hai, Jab mai baadlo par sawaar Sapno ki dunia me Dur kahi udd jaya krta tha. Ha ye wahi daur tha, Jab pariyo ki dunia ka apna wajood hua karta tha. Syd sapno ko pakdne chah me Ye sab kahi peeche chut gaya Ha mai bachpan ki mayanagri se nikal Is bheed me aa gya.
0
Jul 16, 2018
Jul 16, 2018 at 7:19 AM UTC
Bachpan
The feeling of flight not many will know or experience the joy the wonder or the tranquility of the feeling of flight soaring above the clouds higher than all lower than none except that day sHoUT BANG smack th udd d Now I stand low lower than low at the base of the hierarchy of life.
0
May 1, 2017
May 1, 2017 at 1:19 PM UTC
The feeling of flight