Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
anonymous-2
Kal ki hi to baat h Jab mai maa ka hath pakde School ki or jata tha. Ha kal ki hi to baat hai, Jab mai baadlo par sawaar Sapno ki dunia me Dur kahi udd jaya krta tha. Ha ye wahi daur tha, Jab pariyo ki dunia ka apna wajood hua karta tha. Syd sapno ko pakdne chah me Ye sab kahi peeche chut gaya Ha mai bachpan ki mayanagri se nikal Is bheed me aa gya.
0
Jul 16, 2018
Jul 16, 2018 at 7:19 AM UTC
Bachpan
Tera sath hona jaruri na tha, Bas tere hone ka ehsaas kafi tha, Pyar mera duri ka mohtaaj na tha Bas tera sath kafi tha.
0
Jul 13, 2018
Jul 13, 2018 at 1:48 PM UTC
Ehsaas
Uski aankho ke samandar se utha badal hu mai, Uska hi wajood khudme lie Uski hi pyaas bhujane nikla hu mai.
0
Jul 12, 2018
Jul 12, 2018 at 11:49 AM UTC
Badal
Shayad mera aj,aj sa na hota Shayad mai kahi andhero me khoya hota Jo tune raah dikhayi na hoti MAA Mai sayad aj kuch na hota Haa teri dant se sehem jrur gya mai Haa tere pyar se sayad thoda bigad bhi gya mai Shayad tujhe ye kbhi keh b na saka Par Maa Tu na hoti to aj mai bhi na hota.
0
Jul 12, 2018
Jul 12, 2018 at 11:11 AM UTC
Shayad