Aatanki ko,
Alagaavvadi ko
Koi
chetahavni dena
Bahut badi bhul he.
Mauka mile to Mita do uska mool,
Chata do Usko dhul ,
taki jhelna na paden, aur adhik shul.
Aatanki ek
Gumrah shakhs hota hai , jab vah alag thalag pad jata hai ,
To samaj Ko khandit karna chahta hai.
Vah Apne bhitar ke
Tanashah ko Jinda rakhna chahta hai .
Satta pratishthanon ko
Jhukana chahta hai.
Desh samaj ki
Asmita ko
Dhul mein Milana chahta hai.
Aatanki
Kabhi deshbhakt nahin hota.
Beshak vah hardam ek nakab audhe rakhta hai.
Kabhi kabhi vah
Desh bhakti ka
Chadam aavaran audhe ,
Desh duniya Ko kamjor karna chahta hai.
Tum uske iradon ko samjho.
Apney ko halaton ke mutabik dhalo.
Khush fahmi mein rahakar
Khud Ko musibat mein na dalo.