Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Apr 2018
Waqt bhi kitna khubhsurat hai ,
Aate jaate logon ki duniya ujaad deta hai .
Kehte hain waqt saare ghav bhar deta hai ,
Asliyat tou ye hai waqt dard ke saath jeena sikha deta hai .

Do pal ki hai ye zindagani ,
Na do kisi ki ankhiyon mein paani.
Jo lamhein hain chaliye muskurakar bita le,
Jaane kal zindagi kaun se mod par lakar khada kar de .

Kya pta kal saanse hi tham gayi ** ,
Kitna bhi pakad lo .
Fisalta jaroor hai ,
Ye waqt ki fitrat hai yaaro badalta jaroor hai.

Band ghadi bhi din mein do baar sahi samay btati hai,
Man se na haarna aye dost meri tumse gujarish hai .
Maidan se haara dubara jeet sakta hai ,
Man ke haare haar hai man ke jeete jeet hai .

Waqt kahega har baar main lautkar na aaunga,
Khuda Jaane wo hasayega ya rulayega.
Waqt har chiz ki parakh sikha hai jaata ,
Kisi ke khatir ek pal bhi nahi hai theharta.

Waqt ne kisi ko jina sikhaya hai,
Waqt ne sach ka aaina dikhaya hai,
Waqt ka azuba dekho yaaro,
Kisi ko raja tou kisi ko rank banaya hai,

Waqt ne hamara ahamiyat btaya hai,
Waqt ne hume kaanto pr chlna sikhaya hai,
Jisne bhi waqt ko gale lagaya hai,
Use waqt ne us aasmaa jaisi uchai pr pahuchaya hai,

Kitni azeeb baat hai,
Waqt se din waqt se raat hai,
Aaj shaam hai tou kal savera bhi hoga,
Success bhi milegi aur danka bhi bajega,

Waqt ki ahamiyat ko jo log bhul jate hai,
Ant me sirf whi log aansoo bahate hai,
Rote hua es duniya me aate hai,
Vyarth jivan jikar rote hue chale jate hai....✍


Collaboration  by Manish Shrivastva  and Sonia Paruthi
Shrivastva MK Apr 2018
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan ,
Kamzor nahi padegi hamari udaan .
Chhaon ** ya kadakti dhoop ,
Nikhrega hamara naya roop .

Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum,
Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam,
Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na **,
Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum

Bheedh hamesha us raastey par hai chalti ,
Jahan ** na koi mushkil khadi .
Par humne chuna hai raasta alag ,
Kyunki karna hai humne kuch alag .

Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho,
Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho,
Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega,
Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega,

Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer,
Takleef ke hain hum mahaveer.
Na chahat hai sitaron ki ,
Na tamanna hai nazaron ki.

Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai,
Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai,
whi log asafal rah jate hai,
Jo mushkilo se darr tut jate hai,

Har mushkil ka saamna kar ,
Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par .
Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi ,
Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi .

Hum wo hai jo Kismat par rote nahi
Jo rote hai unke kuchh hote nahi,
Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya,
Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya,

Laakhon kasht aa jaye saamne ,
Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage .
Musibaton se baghna na humne kabhi seekha ,
Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha.

Milkar humne ye thana hai,
Naam nahi hume etihaas banana hai,
Ab kisi bhi mushkil se na darna hai,
Kyuki Hume kuchh alag karna hai,
Kuchh alag karna hai..


Collab Poem by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
Pranay Patel Oct 2020
Kabhi Kabhi to main apne aap per Has padta hu
Itna gyan prapt kar liya fir bhi
pathar ki murti samne hath jod kar khada hu
Kabhi Kabhi to main apne aap per has padta hu.

Sau chuhe to humne bhi mare,
namak dalkar bhi humne khae par
jab haj per pahunche tab pata Chala
ki vah sab to viarth tha.

Dharm aur Bhakt ki kya yah dosti badi aanokhi hai
buddhu pahla wala banata hai,
dusre wala samjhata hai ki buddhu kaise banaa hai.
Tu jise maine dekha nahin bus khali teri batay hi suni hay
To ab tu hi bata k tuj par kesay visvas Kar Lu
par tu bataee ga bhi kesay

Kabhi Kabhi to main yah sochta hu
ki agar tu na hota to kya hota ?
Agar tu hay us Ka bhram na hota to yah pakshpath na hota,
tu alag mein alag aisa mahsus na hota
insan insan ke barabar hota.





Maine suna hai ki har Kan mein hai tu
To tere liye ye ghar banane ki itni jid kyon?
  Tu kya tu nahin chahta use jagah per ek bhavya vidyalay bane?

Kuch dost to mere aise bhi hai ki jab ab dharm
per vivad hota hai tu yah sunana nahin bhulate
ki unhone yah dharm granth pada hai
aur sathi sath yah bhi nahin bolate
ke tu bhi yah dharm granth pad.
Agar dharm granth padhne ke baad ahankar aata **
to vah granth na pado to behtar hai.

Vishvaas ki kai paribhashaye hai Jaise
Shaniwar ko chana, tel aur chappal
Na khaya, lagaya aur kharida jata hai.
Or jab poochho k kyon?
To uttar aisa milta hai jis per vishvaas nahin hota.

Vishvaas karo To prashn nahin,
aur prashn Karo to tumko vishvaas nahin,
yah kaisi andhvishwasi mayajaal hai
jismein ek ke liye suraj nila hi, To dusre ke liye hara hi
Aur teesra aankhen kholne ko taiyar nahin
kyunki use ine donon per VISHVAAS NAHIN.
That Random Guy Jan 2021
Gira ke mujhe in andhero me mera guzra waqt
mere hi saath he yu chala aaya

Ajab shaqks hai vo bhi
katal bhi kadar se kiya, aur gale bhi yu
choom ke sar mera lagaya

rakh ke mujhe kahi kisi paimaane me kehta hai
Dekh maine tere liye paani ka diya bhi jalaaya hai

Teen baras/ saath janam maano lambe is waqt me
yaad teri aaj bhi waqt bewaqt hai

me musafir ki trha kuch dhundne ka chaata liye
nikla to hu n par guzra hua waqt bhi bhala
kabhi kal ban paaya hai?
Hope you are doing and get well
Ain Sep 2020
Tujh ko wafa ki raah mein chalna nahi aaya...
Do roz bhi tu haath ko thaam na paaya...

(You could not learn the art of walking the faithful route...
You could not even hold my hand for a couple of days....)

Meri kahi baaton ko tu sun hi nahi paaya
Teri kahi baaton pe yaqeen bhi nahi aaya

(You could never hear the things I spoke to you....
I could never believe the things that you spoke about..)

Mujh ko nahi hai gham ke tera ishq na paaya...
Gham hai ke ishq dil ko tere chuu hi na paaya...

(I do not regret that I could not have your love....
I regret that love could never touch your heart...)

Khudsaari mein kyun kar ** tumhein kuch nazar aaya
Deed e nazar tha surat e zaati mein samaya

(From amongst your self involvement how could you have been able to see anything...
The vision of your eyes was completely encompassed by self imagery..)

Baaton pe pad gaya hai kyun sannate ka saaya...
Zabaan ko bhi zaayka e alfaaz na aaya...

(Why have the talks now been covered with the shadows of silence...??
Even the tongue could not taste the flavor of words...)

Baksha nahi rehem to tujhe bhi nahi aaya
Aankhon ko meri tune bhi hai kitna rulaya

(You didn’t spare me either and even you could not have mercy on me.....
Even You have made my eyes cry so much)

Har baat par tune berukhi ko hai apnaya...
Har baar maine rishte pe malham hai lagaya

(For everything you resorted to callousness...
Every time I have been putting the bandage to our relationship...)

Dekho tumhe yeh ishq hai kis mod pe laaya...
“Ain” ab to chalo dhal gaya jo tha bas ek saaya...

(Just see at which junction has your love brought me...
Let’s now go”Ain” as that which was just a shadow has set away...)

— The End —