Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Aug 2018
Kabhi mujh mein kabhi tum mein phudakti tum to rehti **...
Tumhein bandish mein kya gherun ke dariya si tum behti **...

[Sometimes in me sometimes in you, you keep twitching...
How can I put restrictions around you as you flow like a stream...]

Kabhi dekhun tumhein nazron ko bhar ke dil behel jaaye.....
Kabhi tum par nazar gir kar bhi nazrein bas taras jaaye.....

[Sometimes when I watch you my heart finds its contentment....
Sometimes even as I lay my eyes on you I am left with an unfulfilled yearning...]

Kabhi titli si tum guzro fiza mein rang ko phailaaye...
Kabhi khushboo si tum baslo har ek kone ko mehkaaye...

[Sometimes like a butterfly you flutter and spread colors in the air...
Sometimes like fragrance spread you stay in all corners...]

Kabhi dil ke kisi kone mein yaadon ki lo angdaayi....
Kabhi zehno vehem mein hi khayaalon ki shakal aayi...

[Sometimes in a corner of my heart you remain comfortably like a memory...
Sometimes in the mind you appear like a thought crossed...]

Kabhi main sochta *** tum haqeeqat mein ** bhi ya nahi....
Magar “Ain” e fikar se dekhun main tum hi *** main to nahi...

[Sometimes I wonder if you exist in reality...
But when I ponder over it I find that in me there’s just you I don’t even exist....]
Urdu with English translation....
Ain Sep 2020
Aaj pyari si ek pari
Mere ghar aayi ...?
Aaj nanni si ek kali
Mere ghar aayi...

Uski khushboo se mehka hai...
Yeh ghar humara?
Beshumaar khushiyan
Mere ghar aayi...

Uski ankhon se roshan
Hai har ek kona?
Lauhe mishkaat banke jo
Mere ghar aayi...

Humne jiske liye ki
Badi mannatein thi?
Woh ek dua e maghbool
Mere ghar aayi...

Uska chehra bhula de
Saare ghamon ko?
Yeh ek aisi basharat
Mere ghar aayi...

Uski pyari tabassum
Zakhmon ka malham

Ek nayi zindagi
Mere ghar aayi...

Usko dekhun to aankhon ko
Thandak aa jaye?
Hai jo Allah ki "Neama"…
Mere ghar aayi...

Jaise dasht o sehra mein
Rahat de waha?
Waisa taskeen e qalb woh
Mere ghar aayi....

Tere daaman mein aalam ki
Saari ** khushiyan?
Mere dil ki tammanna
Mere ghar aayi....?

** yeh tera muqaddar
Suraj sa roshan?
Banke chanda si murat tu
Mere ghar aayi...

Ae khuda tera sajda e
Shukr bajaon?
Teri rehmat se beti
Mere ghar aayi...

Jaise Allah ne jholi "Ain"
Teri hai bhar di?
Sab ko hasil ** daulat jo
Mere ghar aayi....
Written on 11 Aug 2012………my daughter’s first birthday. ..

— The End —