Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
shikha pandey Mar 2015
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote,
To shayad aaj ye akelapan mujhe mehsus hi na hota.....
Mai akeli thi aur akelapan meri aadat ban chuki thi,
Zindagi se koi ummeed bhi ni thi mujhe...
Par jab tumne mera saath dene ka wada kiya,
Man hi man mujhe apni zindagi se lagaav sa ** gya...
Jine lagi thi mai,
Zindagi se ummeedein rakhne lagi thi mai...
Jo barish ki bunde mujhe kaaton ki tarah chubhti thi,
Jiski awaaj mujhme ek bechaini si paida karti thi...
Wo barish ki bunde mujhpe ab phulon ki tarah barasne lgi thi,
Uski awaaj me mai saat suro ko mehsus krne lgi thi.....
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote,
To is akelepan se koi shikayat hi na hoti....
Kash tm meri zindagi me aae hi na hote to is akelepan se koi ummeed hi na hoti..
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote...
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote.....!!!!!!!
MdAsadullah Dec 2014
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Bade pyar se wo humko apni mefil me Bulayein
Mehfil me bulakar mehfil ke kaide sikhayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Pad pad kar kaide hum zehan mein basayein
tabhi humare Mezban khud kaidon ko thakh per rakh ayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Jab Mezbaan ki is harkat per hum narazgi jatayein
Pyar se woh humein Naee kaide ki kitabe thamayein.
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Bade laad se wo Bheege joothon ke nakshe humare galon per banayein
Meethe khanjar si chubhti hain ye unki zalim adayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Zalil O ruswa hokar jab unki mehfil se jayein.
Dosti ki Bediyan wo humare paon mein pehnayein.
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Kiya hai humne bhi pukka irada chod kar na mehfil ko ab Jayein
Humare mezbaan chahe hume zalil ker kitni bhi khushiyaan manaayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein

— The End —