Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Anonymous Jul 2018
Shayad mera aj,aj sa na hota
Shayad mai kahi andhero me khoya hota
Jo tune raah dikhayi na hoti MAA
Mai sayad aj kuch na hota

Haa teri dant se sehem jrur gya mai
Haa tere pyar se sayad thoda bigad bhi gya mai
Shayad tujhe ye kbhi keh b na saka
Par Maa
Tu na hoti to aj mai bhi na hota.
Diya soni Jun 2023
Koi mujhe hi aake bata de kya h mere man ka hal? Kyuki me bezuban hu.

Koi mujhe hi aake bata de ki me kya chahti hu, kyuki me kayar hu

. Koi mujhe hi aake sikha de apne liye ladna  kyuki me mashroof hu apne khilaf gawahi dene me.

Koi mujhe hi aake dhund de mujhe,
Rasta jo bhatak chuki hu
Aur rah milne wale log bhi jaha pohchna na h waha ka pata sahi nai bata rhe

Pata nai roshni aur kitni door h, shayad koi dur se batti dikha de ki manzil waha h

Koi mujhe bata de ki hadson ki wajah se
Andr sab kuch bikhar chuka h ya abhi kuch baki h

Koi to ** jo mujhe bata de ki jo me hu aur jo me hona chahti thi, in dono ko kese ek karu

H koi esa raahi? Jo mujhe hi dekh kr bataye me kitna dur aa chuki hu, kyuki meri raahein to dhundli dikhti h mujhe

Aao aur mujhe batao meri kimat kitni h iss safar me.. kyuki mera hisab bigad diya h duniya ne
Purva Barva Jun 2020
Kuch is kadar shor kar jati hai Khamoshiyan!
Bin kuch kahe, bahot kuch keh jaati hai ye Khamoshiyan,
Jo baaten kabhi lafzon se bhi bayan na ** sake,
Wo kabhi kabhi khamoshiyan keh jaati hai,
Kabhi bigdi baat bana jati hai,
To kabhi Bannti baat bigad bhi jati hai!
Bas Kuch is kadar shor kar jati hai yeh Khamaoshiyan!

— The End —