Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Riya jain Aug 2018
khaali si lgti thi phle zindagi ye,
ek paheli si lgti thi zindagi ye,
fir kuch namoone se dost mile,
aur poori si lgne lagi zindagi ye.

Aaye jab dost zindagi main ye,
aayi bahaar kuch alag si ye,
kya kahun inke bare m, bhut anmol hain ye,
jese aasmaan se bheje farishte ** ye.

Jaan bhi de du inhe mange toh ye,
kyunki main janti hu dost kya hein ye,
kbhi nhi bhool skti dosti ko ye,
kyunki adhuri rhegi hmsha zindagi in sbke bina ye.

— The End —