Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
MdAsadullah Dec 2014
Magrib mein hai
ilm o daulat ka fauwara
Ummat hai rakh mein
dhoondoo'n koi angara

Dastarkhwan pe saja hai
dushman ka niwala
Bojh hai maazi, jaise
andhera uthaye hai ujala

Iblees khada hai lekar
teri barbaadi ka samaan
Barso'n se pada hai
thaakh per Quran

M JAYAJIT Feb 2021
Tumse mile to hum kal hain lekin aisa lagta hain milna tay tha barso se
jab sochte hain kaisa mile hum thoda dar lagta hain kya mai sahi huun ya
phir galat
khair in sabka uttar milega sayed
baadme
tab tak badhte rahe aage hum
saathme
sayed tum meri kalpana ** ya phir
bhram
sayed tum meri akelepan ka sahara **
ya phir dil ka marham
sayed tum mere koi ni bas beheti hui
kisi hawa jo kab guzar jaye
mujhe nahi hain pata
sayed hum rok paye tumhe mere aanewala kal me tay kar paye  saato janam ke
yeh safar saathme ,
humko fikr nahi tumhari beete hue kalke humko fark nahi padhta tumhari aur mere aajse bas mujhe yeh pata hain tum aayi **
jindgi mein mere aanewale kal se ||
Apoetic imagination

— The End —