Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hey Suraj itna yaad rahe
Sankat ek Suraj Vansh pe hai
Lanka ke neech Raahu dwara
Aaghat Dinesh Vansh pe hai

Mere aane se pahle yadi
Kirno ka Chamatkar hoga
To Surya Vansh me Suryadev
Nischit hi Andhkar hoga

Islie chipe rahna Bhagwan
Jab tak naa Jaddi Pahuncha du mai
Bas tabhi Prakat hona Dinkar
Jab sankat dasha mita du mai

Aasha hai swarth Prarthna ye
Sacche jee se Swikaaroge
Aatur ki Praan Awastha ko
Hokar karunardh Niharoge

Anyatha chhama karna Dinkar
Anjani tabay se paala hai
Bachpan se jaan rahe ** tum
Hanumat kitna Matwala hai


Mukh me tumko dhar rakhne ka
Fir wahi krur saadhak hoga
Bandi fir mochak tab hoga
Jab Lakshman ka dukh mochan hoga
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Vineeta rai Dec 2018
Jab caha ish dil ne kuch krne ki....
Zindagi ne dikha di khudgarji....
Jab bhi socha maine apni...
Jindagi ne jhatka di joro ki...
KAbhi  rahu ketu mere kundali se nikalti nahi...
Kuch ish tarah meri khusiyon se banti nahi...
Jb bhi socha kuch sahi karne ki...
Hmesa ulta hi hua mujh bandi ki....
Jb socha manjil ko pane ki...
Rasta utni hi hoti *** lambi....
Kuch is tarah meri khusiyo se banti nahi....
Jb socha ab kat jaegenge ye pal muskilo ki....
Kismat ne baji palatdi....
Jb socha musibato se nikalne ki...
Jindagi ne mujhe wahin daga di...
Kuch is tarah meri khusiyo se banti nahi....
Kuch ish tarah meri khusiyon se banti Nahi...
My life observation...if u like pls like and comment
Mere is dil ki har dadhkan mein hai aapka basera,

Mere sajan jaldi se aajao baandh ke sehra.



Aapki dulhan ko hain zindagi bhar sirf aapka intezaar,

Is sacchi shiddat ka andaaza khuda bhi nahi laga sakta itni h beshumaar.



Itni pavitra aatma hai aapki ki dil karta niharti rahun,

Aapke bin ek pal bhi raha nahi jaata kya karun?



Ye dil sirf aapko talaashta,

Nahi hai koi khwaiysh ya abhilasha,



Nahi chahiye kuch sirf aap chahiye,

Nazar na lage kisi ki aapko jaan aye meriye.



Mehandi aapke naam ki mere haathon mein saje,

Maathe par sindoor humesha aapke haathon se lage.



Khushnaseeb hai ye bandi jisne aapko paaya,

Aap mile tou poora ** gya meri rooh ka saaya.



Mai mai na rahi hum bn gayi,

Aapki dadhkano se ye saanse chal rahi.



Le jao apni sangani ko apne sang,

Basi hai rooh aap mein mast malang.
Shabnam Apr 2021
Har chehra pur Noor lagta hai..
Har dill me suroor lagta hai.
Aayi jo neki ki bahar hai..
Gunaah ab dur lagta hai.
Har aan ek nayi justujoo hai..
har banda ab ibadatguzaar lagta hai.
Rozedar ki aankhon me Khuda ki Raza ki aarzoo hai..
Aur Khuda apne bandon ke sabar par guroor karta hai.
Qubool karle Sub ki neki Ya Rabb!
Bandi ki is ilteja ko maan le, Tu bada  Ghafoor lagta hai!
Sanmeet K Sethi Jul 2020
Saal 2020 laya hume aise mod par,
Kitna bhi kosslein hum ise...
Achi baat yeh hai... isne rakha hume jod kar,
Mahamaari nahi! hai yeh humara Karma...
Kyuki jee rahe the hum... Saare kayde tod kar,
Haalat nahi hain bass mein...
Kyuki yeh saal laya hai humare saare paap nichood kar,

Jitne bhi zulm kiye humne prakartee pe...
Jalaya jungaloon ko... bandi kiya janwaro ko,
2020 lega badla bhejke aise bhanwaro ko,

Abhi bhi bohot waqt hai baaki...
Theher jao apni jhaga par,
Warna yeh Corona hai...
Chhodega hospital bhaga kar.

By Sanmeet K Sethi
Insta:- @sks__quotes
This poem is in Hindi language, So I hope there are some Indians on this website to read these.

— The End —