Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....
JAMIL HUSSAIN Dec 2017
Ye Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaae
Vo But Hai Ya Khuda Dekha Na Jaae

This state of excitement, a disguised affair
Is he an idol or the Lord? O’ I am unaware

Ye Mere Saath Kaisi Raushni Hai
Ki Mujh Se Rasta Dekha Na Jaae

Accompanying me, what form of glow is this?
O’ I cannot grasp my path by its glare

Ye Kin Nazron Se Tu Ne Aaj Dekha
Ki Tera Dekhna Dekha Na Jaae

Today with what aim did you stare
O’ your staring I could not bear

Hamesha Ke Liye Mujh Se Bichhar Ja
Ye Manzar Bar-Ha Dekha Na Jaae

Detached from me, to forever become
O’ this scene always stages a scare

'Faraz' Apne Siva Hai Kaun Tera
Tujhe Tujh Se Juda Dekha Na Jaae*

O’ Faraz, apart from self who is yours?
To tear you from yourself, it is so unfair

✒ Translated by ℐamil Hussain , Sung by Tahira Syed
Ain Sep 2020
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka...
Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha...

Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta...
Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha...

Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha...
Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta...

Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha...
Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota...

Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta...
Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata...

Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana...
Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha...

Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha
Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara.....

Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha...
Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya...

Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya...
Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya...

Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana...
Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha...

Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha..
Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
Ain Sep 2020
Aaj pyari si ek pari
Mere ghar aayi ...?
Aaj nanni si ek kali
Mere ghar aayi...

Uski khushboo se mehka hai...
Yeh ghar humara?
Beshumaar khushiyan
Mere ghar aayi...

Uski ankhon se roshan
Hai har ek kona?
Lauhe mishkaat banke jo
Mere ghar aayi...

Humne jiske liye ki
Badi mannatein thi?
Woh ek dua e maghbool
Mere ghar aayi...

Uska chehra bhula de
Saare ghamon ko?
Yeh ek aisi basharat
Mere ghar aayi...

Uski pyari tabassum
Zakhmon ka malham

Ek nayi zindagi
Mere ghar aayi...

Usko dekhun to aankhon ko
Thandak aa jaye?
Hai jo Allah ki "Neama"…
Mere ghar aayi...

Jaise dasht o sehra mein
Rahat de waha?
Waisa taskeen e qalb woh
Mere ghar aayi....

Tere daaman mein aalam ki
Saari ** khushiyan?
Mere dil ki tammanna
Mere ghar aayi....?

** yeh tera muqaddar
Suraj sa roshan?
Banke chanda si murat tu
Mere ghar aayi...

Ae khuda tera sajda e
Shukr bajaon?
Teri rehmat se beti
Mere ghar aayi...

Jaise Allah ne jholi "Ain"
Teri hai bhar di?
Sab ko hasil ** daulat jo
Mere ghar aayi....
Written on 11 Aug 2012………my daughter’s first birthday. ..
Abhishek Ashish Mar 2018
Kuch baatein yuhi kahi to nahi jaati,

kai baatein aankhe bhi bayaa nahi kar paati

Kisi rail ki thar-tharahat mein shayad hai woh baat

Ya hai kisi pool ke sannatein mein...

Yeh jo kaath le taalein hain, apne lafzon par kyun daale hain

Ek ajeeb si narazgi sabhi ne paale hain!

Kabhi khil-khilati thi mere honthon ki hasi,

Aaj aalam hai ki murjhaye phool bhi humse sayaane hain...

Dil ki baatein dil ko hi satati hai,

Aa jayen agar lafzon tak toh apno ko rulati hain...

Zindagi badi ruhaani hai, harr mod ek nayi kahani hai,

Kuch baatein yunhi sunani hain

Kai baatein aankhon se samjhani hai...
jis shaks to tum dhoond rahe ** wo to hai mujhe na pata
par ye naam to mera hi hai lekin is 'mera' ka 'main' to laapataa
jab mujhme mai hi nahi hu to kise dhoond rahe ** tum?
kahi aisa to nahi ki hum dono ek hi shaks to dhoond rahe hai?
khair tum to bas ek naam dhoond rahe ** jo ki hazaro hai is jahan me
par mujhe jiska justuju hai wo ek hi hai is aalam me
kahi aisa to nahi ki mai bhi hazaro me hu is jahan me
khair hazar hone ka bhi kya fayda jab itne naayab ** ki kahi na mile
** sakta hai mai to hu kahi aur ye to mera zuban baat kar raha hai
kahi aisa to nahi ki jaha hu mai waha bhi mera zuban hi baat kar raha hai?
kis darya pe hu mojud wo to shayad kisiko na pata
kahi aisa to nahi mai hu hi nahi
ya phir bas mai hi hu aur sab jhooth
mai ye kisse baat kar raha hu kahi ye mai to nahi?
kahi ye dunya bas meri hi ek rup to nahi?
kahi ye nazm jo padh raha hai wo mai to nahi?
ya phir tum hi ** sach aur sab jhooth
phir ye nazm jo likh raha hai kahi ye tum to nahi?
phir ye janab e lafz mera kahi tumhara to nahi?
ya phir tum bhi ** hum bhi hai bas aapne aapne talash me
pata nahi kaha se gir gaye hum itni gehri talab me
kahi aalam e akbar ye to nahi?
kahi jannat-jahannaum ye to nahi?
kahi hum to khuda nahi ?
kahi khuda to hum nahi?
kahi ye to ek sapna nahi?
khair agar hai bhi to hume kya
hum maut ke intejaar me shab o roz
kahi aisa to nahi ki shab bhi hum  aur roz bhi hum hai?
dantte hai ye log ki, ae 'Aarib' ye kya pagal-pan hai?
shayad aisa na ** ki wo log bhi hum hai
zindagi to bas intejaar hai maut ka
kahi aisa to nahi ki zindagi bhi hum aur maut bhi hum hai?
Kyu is kadar..
Tarshane lagi tanhai..

Parchhai...bhi kehne pe Mazbur..
Khud se dur jaate hue...kyu tu itna mazbur..

Bebasi ka aalam...
Tanhai e dard...
Dooba phir raat e  Nashe Nashe me
...
Mere likhe hue jajbato ka kuch bekhabar daam puchte h
Jinhe khabar h mere aalam ki wo aksar tera naam puchte h
😍😍😍
Follow me on fb www.facebook.com/itssadyboy/
Dagaa ki raho pe chalke m itna door aa chuka hu
Ishq-muhbbat, darr khuda ka... jahan se m mita chuka hu
Aalam yeh h ab to sadeek
Bewaffa Bewaffa Bewaffa
M maathe pe likhwa chuka hu
@itssadyboy
https://www.facebook.com/yoursady
Sometimes we wrong.

— The End —