Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
Kadam yaadon ke ghere mein Mera jab bhi kabhi padta Woh aalam yaad aata tha Woh aangan yaad aata tha Woh dopahar mein gulmohar Pe chadna yaad aata tha Gulaabon, phal wa phoolon ka Mehekna yaad aata tha... Subah koyal ki ku ku ka Woh shor o gul tha yaad aata Agasi par tanhayi ka Woh kona yaad aata tha Har ek pal ki kahani thi Woh dastaanon ka har lamha Us chaukhat ka har ek paththar Har zarra yaad aata tha Falak par hi to hota hai Tasawwur e irum aksar Sama ki sar Zameen par tha Jo "Firdaus" yaad aata tha Padosi ka sulook e khair Woh rishta yaad aata tha Padosi ka hi phir hum par Nishaana yaad aata tha Woh kaalapan woh sannata Woh buu e Raakh ka uthna Mere armanon ke ghar ka Jalana yaad aata tha 'Ain' ashq ab behta hai to kya Mita to yeh nahi sakta Khalish e qalb ka woh pal Jo aksar yaad aata tha....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:29 AM UTC
Ghar yaad aata tha.....

Ain
Written by
40/F/UAE
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:29 AM UTC
Request permission to use this poem