Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Satya 1d
Bin kuch kiye
Saza mili kuch asi
Jis Bharat ne panha di thi unhe dharam ke naam pr kalik unhone poti

Kya unhe keval dharam hi dekha
Ankho mai ansu ka mol na sikha
Kya fayda us jeet ka
Jisme manavta ka roop na dikha
Jeet bhi jaye agar
To kya abad hai ye
Jinhe poojte hai ye
Onhe bhi swikar nahi ye.
Kisi ne baap khoya
Kisi ne pati
kisi ne apna beta koya
Aur kisi ki ishwar se astha miti..

Kya yahi sikhlata hai ye dharam
Kya Begunaho ko saza dilata hai ye dharam
Kya manavta ka andhkar hai ye dharam
Ya ishwar dwara diya ak abhishap hai ye dharam

Saval kayi hai man mai
Aur ** bhi kyu na
Jinhe Bandhu mante the ham
Jinke paksha ke liye lad jate the hm
Aj vahi Nazar giraye khade hai
Ab kis baat ke nishkarsh pai aye hm?

Meri samaj mai to Dharm vahi
Jo sahi galat mai farak batye.
Jo manushyata ka arth batye
Jo sikhye saman dena
Jo bataye ishwar ka pana..
From core of my heart
Incident:- Pahalgam attack..
Satya 2d
Sitting near the river
Realise the truth of life
Truth which could be beautiful
If perspective changed .
Speaks that,
Life is full made up of ups and downs
Sometimes it get high sometimes way much down
let people to think about it..
Slowly improving poetry..

— The End —