Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sakshi goyal Oct 2020
Aa ab laut chalein apne ghar
Aa ab laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

Jaha teri shetaniyon ka manzar tha
Jaha pyar ka samndar tha
Jaha thak kar sona ata tha
Jaha har kona muskurata tha
Jaha beeta har din yadgaar tha
Jaha ka har pal suhana khwab tha

Aa laut chalein apne ghar
ab bht taay kar liya yeh safar

jaha khul kar tu bhi hansti thi
jaha muskura mein bhi leta tha
jaha teri badmashiyo mein
bacha me bhi bann leta tha
jaha naachti tu thi aur jhumta me tha
jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha
jaha na kabhi dur hone ka dar
na adhuri koi aas thi
jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi
jaha rote rote hans dete the hum
na koi fikar ki bat thi
jaha ghanton batein karte the hum
ghadi ki sui na humare sath thi

Aa laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

Jaha tera kam se ana tha
Phr mujhko gale lagana tha
Jaha teri bematlab ki baton me
Mera kahn gum hojana tha
jaha har sapna jee rahe the hum
jaha nahi thi kisi ki koi sharam
jaha dikhawa koso tak na tha
har jagah tha bass pagal pan

Aa laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

jaha jhagde bhi suljhe se the
jaha ansun bhi uljhe se the
jaha hothon pe muskan bhi thi
jaha ankhein kuch naadan bhi thi
jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi
jaha lori ki chankar bhi thi
jaha ghungru si tumari payal bhi thi
jaha kangan ki awaz bhi thi
jaha hansta hua tera chehra bhi tha
jaha ghurti meri ankhein bhi thi
jaha band woh darwaze bhi the
jaha do **** ek jaan bhi the


Aa laut chalein na apne ghar
waqai bht lamba ** gaya yeh safar....
waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!!


..

— The End —