Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

grassy park   

Poems

Ain  Sep 2020
Yaad aaya...
Ain Sep 2020
Phir teri mohabbat yaad aayi
Phir mera bilagna yaad aaya…
Phir teri naseehat yaad aayi
Tera raub wa jalwa yaad aaya…

Tune jitni jheli takleefein
Us dard ka ehsaas yaad aaya…
Tune zindagi bhar jo bhi kiya
Tera jud o karam sab yaad aaya. ....

Teri kaawishein teri koshishein?Tera jaan lagana yaad aaya. ...
Teri neikiyan tere khair amal..
Tera pyaar lutana yaad aaya...

Teri hayaat se seekhe hain jo jo...?Har ek sabaq woh yaad aaya. ...
Tera muskata har dam chehra...?Woh roshan nazara yaad aaya. ....

Ba vaqaar jo jhele gham tune...?Tera sabr se sehna yaad aaya….
Teri zinda dili teri saada dili...?Deen' mein thos aqeedah yaad aaya. ....

Beta, bhai, shohar, walid ** ya dost?Har ek farz nibhana yaad aaya. ....
“Ain" tum bhi amanat daari karo...?Usne hi seekhaya......yaad aaya..???

Phir mera tadapna yaad aaya...
Lamha rukhsat ka jo yaad aaya…
Ae Firoz tu aisi misaal bana.....?Jaane kitnon ko tu yaad aaya. ....
Ain Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....