Ki lafzo se jo bayan karu mai aaj Vo baatein purani nahi Ki baat karu agar un yadon ki To Vo yaadein purani nhi Mana, Mana ki kayi galti Kari hai mene Mana ki shayad dukhaya hai tumhara dil nhi mene Mana ki na samaj paya teri man ki baaton ko Mana ki na samaj paya tumhare isharon ko
Na jane kyu ham un baaton mai pade Na jane kyu un halato se lade Na jane kyu na samjha ye ishq ko Na jane kyu na mana is ishq ko Na jane kyu khud yun kho sa diya hai Na jane kyu jan ke andekha kiya hai Na jane kyu... Kher, Ab raat gayi baat gayi Sab kuch hai badal gaya Is samay ki doud mai khud ko khi piche sa chod diya Ak khula aasmaa, ak aangan Aur bs bacchi teri yaadein hai Jee raha hu unhi ke sahare Agar sach bolu to Ab na kat ti ye ratein hai
Pr ab na kuch aur ** payega Bacha ye akela pan ab mera hamsafar ban jayega Rahi baat agar ishq ki to adhura vo yun reh jayega Ki bayan kare agar koi Na panno pr bhi vo sama payega.....